Patanga....
- falgun17th
- Oct 31, 2017
- 1 min read
Imtihaan le gayi aaj phir teri mohabbat;
Main us masoomiyat ka kayal; aaj phir ban gaya,
Aankhon se katl-e-aam kar gayi teri wafaein;
Main phir se us ishq ka rehnuma sa ban gaya,
Kai jaane pehchaano ne majak bana diya tha mera;
Main phir bhari mehfil mein badnaam sa ban gaya,
Tera jikr na hone diya aaj phir mere labon ne;
Main apne hi alfazon ka; is kadar katil ban gaya,
Bas mehak uthta tere hone se meri zindagi mein;
Main phir us fiza mein mehroom sa ho gaya,
Is rishtey ko bandhe rakha tha meri khwaishon k manzar ne;
Main tere ishq mein ek jalta patanga ban gaya……
-Shrey

Comments