Koshish.....
- falgun17th
- Oct 31, 2017
- 1 min read
Bheed mein ek jaani pehchaani hasi nazar aayi;
Mujhe andhere mein bhi ek lau nazar aayi,
Duniya buri hain kehte hain log;
Mujhe phir bhi khushi ki umeed nazar aayi;
Har jagah nafrat hain; har jagah ranjish hain;
Is insaaniyat ke katl-e-aam mein;
Mujhe ek aman ki dua nazar aayi,
Buraai mein bhi achaai banap rahi hain har gali mein;
Mujhe logon mein chhupi ek khudaai nazar aayi;
Jhooth kehta hain zamana;
ke har jagah bas nafrat ka dhua fail raha hain aajkal;
Mujhe is veham mein aaj hi;
ek badlaav ki mukammal koshish nazar aayi…….
-Shrey

Comments