Itminaan hain....
- falgun17th
- Oct 10, 2017
- 1 min read
Kitna sambhalu apne aap ko; har dafa,
Yun mehez teri tasveer dekh kar,
Ae khuda mat kar itna guroor;
tere kiye taqdeer ke faisle par,
Woh mera na ho saka; toh kya malaal hain,
Main uski har siskiyon mein hoon;
Meri hi yaadon se uski aankhen nam hain,
Tu bhi karta hoga dil se fariyaad;
mujhe usse milaane ki,
Puri kaaynat roshan hain;
bas mere hi ummeedon k chiragon se,
Uski jhalak; uski muskaan;
uski khairiyat se puri meri shaamo-sehar,
Yaadein usi ki hain;
dil mein har ghadi har pehar,
Main tadapti hoon har pal;
Par dil mein ek itminaan kaayam rehta hain,
Hain woh kisi aur ka humsafar phir bhi,
dil mein sirf meri hi kami;
meri hi khalish ab bhi barkaraar hain……
-Shrey

Beautiful :)
try selecting categories for your poems....